Urdu Sad Poetry/Shayari Lines Wallpapers for Facebook


Ranjishein.
Meri zaat py woh lamha giran guzray ga,
Tujh sy hat kar jo yahan guzry ga
Halki halki ranjishein to samajh mein aati hain,
Lekin kesy tery bin mera jahan guzray ga...!!!




Rabta.
Toot jata ha waasta khud sy,
Tujh sy jab raabta nahi hota...!!!




Meri khushiyan tumhain buhat aziz thi na,
Jab hi unhain bhi apny sath ly gaye ho tum...!!!




Bhegi Palkain.
Mery aanso bhi tumhain na khareed saky,
Logn ki muskurahon ny tumhain apna bana liya...!!!




Qalam sy likh nahi sakta zuban sy kah nahi sakta,
Meri daastan ka dosto bayan kuch aisa hai...!!!




Rony ki waja batoun ya sony ka sabab,
Ab aik hi shakhs ko kitny ilzam don...!!!




Sar par aasman na rahy pairon mein zameen na rahy
Jab sy ham tery shahar ky makeen na rahy
Zinda hoga har wo shakhs jis ky dil mein tu raha Abbas
Hum tery dil mein na rahy to kahein na rahy...!!!




Sikka bana ky jab sy uchala gaya mujhy,
Main teri haar jeet mein takseem ho gaya...!!!




Usky liye jeeti thi, Usi py marti thi
Usky rooth jany sy behad darti thi
Woh is baat py mujhy chorr gaya
Main uski khushyon keliye us sy larrti thi...!!!



Comments